Posts

“Main Zameen, Tu Aasmaan”

 Meri duniya ek banjar zameen si thi, aur tumhara aasmaan hamesha khula tha. Main thak chuka tha barf jhelte-jhelte, tum dhoop mein muskaraana jaanti thi. Main khud mein dooba rehta tha, aur tum khud se baatein karti thi. Kabhi socha tha — meri mitti tumhara aasmaan chhoo legi, par na barish hui, na koi mausam badla.

Ajnabee se Mulakat

 Kal ek ajnabi mili Par ajeeb tha sab kuch, Uska naam jaanta hoon, Uski muskaan ke raaz bhi. Uska birthday yaad hai, Uski pasand, uske sapne, Uski maa ki daant, Aur papa ki muskurahat bhi. Par aaj Uski aankhon mein pehchaan nahi thi, Jaise main kabhi tha hi nahi. Woh ajnabi thi  Jo kabhi meri sab kuch thi Aur main? Bas ek naam bacha hoon,  uski purani yaadon mein.

“Der Ho Gayi…”

 Sab kuch theek hone tak, sabh kuch tabah ho chuka hota hai… Zakhm bharne lagte hain, toh rishtey mar jaate hain. Waqt sab kuch sahi kar deta hai, yeh jhooth lagne lagta hai… kyunki jab tak waqt sambhalta hai, dil sambhalne se inkaar kar chuka hota hai. Log keh jaate hain — "Sab theek ho jaayega," par nahi sochte, ke theek hone mein jo toota, wo kabhi wapas nahi aata. Aur tab… jo bacha hota hai — woh na zindagi hoti hai, na maut… sirf khaali sa waqt hota hai.